sanam ke laboN pe jaam SAJAA ke piyaa...!

administrator's picture
sharaab ko main peeta hi kab tha,, iske bina main jeetaa hi kab tha,, ye cheez hai aisi ki ****i nahi jaati,, ek kasam hai kambakht jo todi nahi jaati,, aaj fir jaam honthoN se takraayega,, ek ashq fir aankhon se gir jaayegaa....!!</p>

sahbaa* me aaj kuch dard mila ke piyaa,
sanam ke laboN pe jaam sajaa ke piyaa.

*sharaab....!

jo kiya inkaar kabhi kisi ne pilane se hume,
to ashqon se ek jaam banaa ke piyaa.

kisi ne di thi kasam hume v na peene ki,
aaj us dilbar ko saamne bithaa ke piyaa.

main pee ke, to saaqi bhi pila ke royaa,
unki tasveer ko hi dil se lagaa ke piyaa.

ro diye jab sab, humari haalat ko dekh,
to apne haal pe hi taras khaa ke piyaa.

maikade ne de diya naam hume "ghayal",
jo har zakhm pe uska naam likhaa ke piyaa.

Style / Type: 
freeform
Language: 
Other, Indian
0
Your rating: None