Kis Kis ki KaHaNi Likh Daalu

Kehti hai kalam par kis kis ki kahaani likh daluN..
Khushaal bachpan, ya dard-e-jawani likh daluN..
Har koi jahaN maiN tanha hai bebas raahoN pe…
Us jeete hue ki , us marte ki jubaani likh daluN…
Un aankhoN ke khwab kisi aur ki nazar ho gaye…
Khamoshi-e-sehra, ya hawayeN barfani likh daluN…
SambhaluN kaise dardmandoN ko ladkhadane se…
Beeti hui yadeN, ya bachi hui nishani likh daluN...
Na koi humdard kisi ka, na koi kisi ka humsafar…
Nakaab-e-jindgi, ya asal-e-jindgaani likh daalun…
Kagzi kahawat rishte, do lafzoN ka “Ghaayal”…
Uski har bewafai, ya apni har kurbani likh daluN…
Ki koi kahani likh daluN,dard-e-jawani likh daluN
Style / Type:
freeform
Language:
Other, Indian
(1 vote)



aapne ek sachhe lekhak ki ruh
aapne ek sachhe lekhak ki ruh pannon mein ukher di ...... apne charon taraf hi vivashta aur dard ko dekh kar kaise uska mann kehta hai ki in sabke bare mein likh ke apne andar ke dard ko aazad karo.... lekin dard itni baaton ka hai ki uske mann mein yahi ata hai ki kis kis ki kahani likh dalun....
ek aur nayab tohfa aapki kalam ka,
is ehsaas ka shukriya,
falcon.