!..Wo Kya Jane..!
wo kya jane honsloN ko jo chup ke waar karte hai...
Jeena unhi ko aata hai, jo zindgi se pyaar karte hai...
Jo chale gaye na do unki maut pe zillat unhe roO ke..
salaami do unhe hum sahidoN mai shumaar karte hai..
humen khaak mai milaana asaan kahaN ey buzdil...
Har nek bande ki hifazat jahaN parvardigaar karte hai...
Humari chuppi humare ansoun,apno ki maut par bahe...
Jaan lo talwaar haivano ke seene se aar paar karte hai...
Mita deN tumhara naam-o-nishaN jahaN se kaayarON..
Par mulkoN ke faisle yahaN naa-mard sarkaar karte hai..
Par
Tum apni mutthi maiN qaid kabhi na samajhna hume...
Tabaah ho jate hai pahaad jab hum yalgaar karte hai...
wo kya jane honsloN ko jo chup ke waar karte hai...
wo kya jane honsloN ko jo chup ke waar karte hai...
Style / Type:
freeform
Language:
Other, Indian





ameen....
i wish ki jald hi yeh yalgar ho aur pura desh unko nestonabut karte jo iss tarah se chup ke war karte hain...
Thank You
Thanks aapne mere Josh ko pasand kiya
this needs to be...
this needs to be categorized properly...